Vegetable pulav

Copy Icon
Twitter Icon
Vegetable pulav

Description

Cooking Time

Preparation Time :15 Min

Cook Time : 10 Min

Total Time : 25 Min

Ingredients

Serves : 4
  • 2 bowls basmati rice


  • 1/2 bowls green and yellow shimla mirch chopped


  • 1/2 bowls chopped carrot


  • 1/4 bowls long pieces of yellow simla mirch


  • 1/2 bowls green peas


  • 15-20 nos kismish


  • 4 nos elaichi


  • 12-15 piece kaju


  • 4-6 nos tej patta


  • 4 tsp pure ghee


  • 10-12 nos black pepper


  • 1/2 tsp salt as per your taste

Directions

  • Basmati rice ko water se dho kar 20 min ke liye rakh de.
  • Green and yellow simla mirch, carrot, green peas ko boil karein. (boil jyada nahi karna hai) aur usko ek side rakh de. Long, elaichi, black pepper dalcheene ko dardara kar le (koot le).
  • Gas on karke cooker rakhe fir usame 4 spoon ghee dale jab ghee garamho jaye to tejpatta dale. Kootta hua long elaichi black pepper daale. Uske baad kaju aur kismis daale. Fir basmati chavan daal kar achese se chayale. One And half bowl paani daale. Salt daale. Aur achese chalaye. Cooker ka lid lagade ek whistle aaneke baad gas band karein aur cooker ko thanda honeke liye rakh de.
  • Ek kadai me one spoon ghee daalke garam karein. Boil curry hui vegetables daal kar 2-3 minutes chalaye. Cooker ko khol kar rice ko nikalkar kadai me daale. Vegetables aur rice ko mix karein. 2-3 minute gas par rakhkar chalaye. Veg pulav tayaar hai.
  • Veg pulav raita, chole, curry ke saat khaye aur enjoy karein. Meri iss recipe ko ek baar zaroor banaye aur kha kar enjoy karein…!!!”
  • Vegetables ko boil karne ke liye thande water me nahi daalkar boiled water me daalkar sirf 5 minute boil karein.
  • Rice cook karne ke liye water jitana rice hai usase kam hi water le.